You are currently viewing एक दिन में कितना प्रोटीन लेना चाहिए? How much protein in a day

एक दिन में कितना प्रोटीन लेना चाहिए? How much protein in a day

  • Post author:
  • Post category:Uncategorized
  • Post comments:0 Comments

how to calculate your protein requirement by your body? here is the basic formula to calculate your daily protein intake for muscle building and other function like skin, blood and immunity system. for any further question you can contact me on facebook page. Facebook Page:- https://www.facebook.com/DFCIndiaOfficial/ Top Protein Supplement(affliate):- MuscleTech Premium 100% Whey Protein:- http://amzn.to/2oddcm4 Muscle Pharm Combat 100% Whey:- http://amzn.to/2oAqn3d Dymatize Iso 100:- http://amzn.to/2oAlpmQ Ek Din Mein Kitni Baar Protein Powder Lena chahiye? Yah Har kisi ke liye thoda difficult hai ki aapko ek din mein kitna Protein lena chahiye aur kitna protien 1 baar mein lena chahiye. Protein hamare muscle block banane mein madad karta hai. hamari Body protein ko kai prkaar ke Amino Acid me todati hai jo hamari body ke liye abhut jaruri hote hain. Hamari body me lagbhag 22 Amino acid hai aur inme se 9 amino acid hamari body nhi bana sakti hai. yah ham apne diet me mojud protein ko amino acid me todkar lete hai. Isiliye agar aap sahi protein diet nhi lete hai to aapki muscle Growth nhi karti hai. Ab baat karte hai ki aapko din me kitne gram protien lena chahiye aur kitni baar lena chahiye. Iske kuch step hai jinko follow karke aap bina kisi expert ki help ke bhi apni body ke hisaab se protein requirement ka pta laga sakte hai. Kitna Protien Jaruri hota hai? Yah bahut jaruri hai ki aap sahi hissab se protein powder le kyoki agar aap jyada protein powder le rahe hai to iska koi benefit nhi hota hai. Iska ek Simple formula hai. Protien ki jarurt body weight ke 1 Kilogram ko 1.5 gram se 2.0 gram ke bich hoti hai. Agar aap regular light exercise karte hai to aap 1.5 gram protein per one kilogram body weight ke hisaab se le aur agar aap hard workout karte hai to aap 2.0 gram protein per 1 kilogram body weight ke le. Example:- Your Weight:- 60 KG Exercise:- Heavy Protein Requirement:- 60 x 2= 120 Gram Protein Apko 120 gram protein per day lena hoga. Khane se Protein:- Jitna ho sake aap protein value apne food se complete kare. Protien supplement sirf body me protein ki requirement ko complete karta hai ise kisi food ki tarah na khana shuru kare. Protein ke liye aap eggs, Low fat milk, aur paneer ka use kar sakte hai. Jitni jarurt ho utna hi Protein powder le:- yah bahut jaruri hai ki aap protein ko sahi dhang se le. Jaise maine aapko upper example dekar bataya hai aap is tarah se apna protien requirement nikaal le aur us me se kam se kam 80% protein apne food se lene ki kosis kare aur baaki ka 20% protein aap apni diet se lekar apni protein requirement ko pura kare. Kitni baar le Protein Powder:- hamne upper protien requirement nikali hai. ab baat katre hai ki isko kitni baar me lena chahiye. Kabhi bhi yah soch kar supplement ka istemaal nhi karna chahiye ki agar aap protien ko kam matraa me lekar jyada din tak iska istemaal kar sakte hai. lekin yah aap tab kar sakte hai jab aap diet se sahi protein le rahe ho. agar aapki body ki requirement 120 gram protein ki hai aur aapko apni diet se sirf 80 gram protein mil raha hai to aap 20-20 gram karke din me do baar protein powder le sakte hai. agar aapko apni diet se sirf 60 gram protein mil raha hai to aap 20-20-20 gram karke din me 3 baar protein Powder ka istemaal kar sakte hai. Site:- http://www.deepfitnessclub.com/ Instagram:- https://www.instagram.com/deepkhicher/

Leave a Reply